Coding ka pahala kadam.

 01/06/2023 

Esi din maine apne dost se kaha tha ki mai apna ak personal room banane vala hu padhne ke liy .
Mai gaw me rahata hu or mere gaw me kae ladke computer koching karte the to mai unse puchhta tha ki computer me most important kya hai Sab ne mujhe typing ke bare me bataya to maine ak 250 ka keyboard kharida or OTG se keyboard ko phone se connect karke typing suru kiya mujhe koe batane vala nhi tha to mai YouTube se typing ki videos dekh rha tha or practice kar rha tha 6 mahine tak mehanat karke meri typing speed 50word per minute ho gae thi .
Ab maine koching bhi join kar li thi or bahut sari chije sikh rha tha tabhi mujhe O'Level course ke bare me pata chala lekin vo 30k ka computer course tha jo mai afode nhi kar sakta tha lekin agar ham us course ko Direct government ki website se karte hai to 5k lag rhe the to mai desite kiya ki mai ye course jaroor karunga course maine join kar liya or YouTube se padhna start kar diya .
Esi course me pahali bar maine website ke bare me jana uske bad HTML ,CSS,JS se kaise website banti hai or public hoti hai or Hosting kya hoti hai Domain kya hota hai Sabke bare me padha maine .
Ye sab mere liy ak nae duniya thi mai pahali bar ye sab sun rha tha or ak alag se confidence aa rha tha ki mai kuchh alag karne vala hu sabse hat ke jo meri family ya gaw valo ne suna hi nhi hai ki web development jaisi bhi koe chijh hoti hai.
Aise hi maine coding ki duniya me kadam rakha.
Meri coding journy to ak computer course se suru hue jo mai afode bhi nhi kar sakta tha.
Thanks for reading.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Creat Your profile using HTML & CSS with my Source code.

Holi Project Shree Ram Website

Common Problems for Coding jurny and Solution.